Tuesday, June 23, 2009

Milne julne ka silsila rakhna...

Koi shiqwa na koi gila rakhna,
Milne julne ka silsila rakhna,
Hum bhi hai tere chahne wale,
Dard-e-dil ki bhi kuch dawa rakhna,
Chaahton mein na ho paye kami kabhi,
Phool aangan mein bhi kuch khila rakhna,
Dam yun ghutne ka sawab na ban jaye,
Paas apne bhi kuch hawa rakhna.

No comments:

Post a Comment