Showing posts with label hindi sms messages. Show all posts
Showing posts with label hindi sms messages. Show all posts

Thursday, July 9, 2009

Dard itna tha ki sehan na hua

Dard itna tha ki sehan na hua
Margaye unki raha hon mai
Magar unko gum na hua
Khete the hume
Chahte hai jaan se zyada
Yeh wada marte dam tak pura na hua.

Khyalon mein wahi

Khyalon mein wahi,
Sapno mein wahi,
Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi,
Hum jaagte rahe duniya soti rahi,
Ek baarish hi thi,
Jo humare saath woh rahi.

aapke hothon par muskaan rahe

Har lamha aapke hothon par muskaan rahe
Khuda kare har gham se aap anjaan rahein
Mehek uthe jis se zindagi aapki
Wo shaks humesha aapke paas rahe

unse dur ja na sake

Door ja kar bhi unse dur ja na sake,
Kitna aansu gire kisi ko bata na sake,
Gam ye nahen ke woh mil na sake ,
Dard serf ye he k hum unko bhula na saka.

Ruthoge toh manayenge

Yaad na karoge to satayenge,
Ruthoge toh manayenge,
Royoge toh hasayenge,
Dost hai hum saya nehi,
Jo andhere mein saath chod jayenge

zindagi bhar ki kasam

Karte rahe hum unse wafa,
Woh humse bewafa hote gaye,
Agar chodna tha saath bich raha par,
Toh zindagi bhar ki kasam kyun khate chale aaye

Jo bin mange ho jaye qurban

Dil tutana saja hai mohabbat ki
Dil jodana ada hai Dosti ki
Mange jo qurabaniya wo hai mohabbat,
Jo bin mange ho jaye qurban usse kehate hai
“DOSTI”

intezar ki ghadi sath hoti hai

Pyaar Karne walon ki kismat kharab hoti hai,
Har waqt intezar ki ghadi sath hoti hai,
Waqt mile to rishto ki kitab khol ke dekh lena,
Dosti har rishtey se lajawab hoti hai.

Tera ehsaas bhi hai

Tu dur hai mujh se,
Per paas bhi hai,
Teri kami main kahin,
Tera ehsaas bhi hai.

Wednesday, July 8, 2009

Suraj ko modh dunga

Chaand ko todh dunga
Suraj ko modh dunga
Tere damaan mein khushya chodh dunga
Tu agar ek baar haas de toh,
Mein tere saare DAAT todh dunga.

Tuesday, June 30, 2009

Kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage

Bebas hai insaan apni kismat ke aage,
Bebas hai sapne haqiqat ke aage,
Koi ruki huwi dhadkan se puche ,
Kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage.

Tuesday, June 23, 2009

kuch pehchaan baaki hai

Kya kahein iss khel ko jo tune mere saath khele hai,
Tujhe khus dekhne ke liye har sitam humne jhele hai,
Kabhi paa hi nahi saka tumhe toh aaj judaai kaisi,
Hum akele bhi tanha the aur aaj tanha bhi akele hai,

Teri mohabbat ka ab bhi nishaan baaki hai,
Tere intezaar mein aaj bhi kuch saans baaki hai,
Kya hua agar dekh kar muh fair lete hai woh,
Yeh tasalli toh hui ke kuch pehchaan baaki hai.

teri bewaffai ki chot se

Nikal ke unke dil se hum mehfil mein aa baithe hai,
Hamari mushkil yeh hai ke badi mushkil mein aa baithe hai,
Ladkhadane lage hai hum teri bewaffai ki chot se,
Log kehte hai pee ke sare mehfil mein aa baithe hai

Wohi raat ki khamoshi wohi tanhai

Wohi raat ki khamoshi wohi tanhai,
Yeh hawa kisi ki yaad le aayi,
Hum toh beith kar uss chand ko dekh rahe the,
Phir na jane kiss ke liye yeh aankh bhar aayi.

Sunday, June 21, 2009

Yaad ko unki dil se juda hum karenge

Unke bewafai par wafa hum karenge,
Yaad ko unki dil se juda hum karenge,
Itna chaha phir bhi yakeen nahi,
Aise zindagi jee kar kya karenge.

jee chahta hai

Iss pyaar ki rooh mein utar jane ko jee chahta hai,
Apni har sans mein bas unki mehak ko mehsoos karne ka jee chahta hai,
Ab yeh dil har pal uske pyaar mein dhadakna chahta hai,
Ab khuda ke chand ko chod,
Apne chand ki nazro mein doob jane ko jee chahta hai

Friday, June 19, 2009

Pyaar kabhi karna hi nahi

Pyaar kabhi karna hi nahi,
Kiya toh adhoora chodna nahi,
Agar chodna pada toh dena safai,
Varna log isse kahenge bewafai

Thursday, June 18, 2009

Woh meri, main uska ho jaun...

Woh meri, main uska ho jaun,
Tadap mein uske main mar jaun,
Aisa bane pyaar ka yeh ristha hamara,
Woh mera jism aur main uski jaan ban jaun.

Kabhi karte hai jindagi ki tamana

Kabhi karte hai jindagi ki tamana,
Kabhi mout ka intezar karte hai,
Woh humse kyu door rehte hai,
Jineh hum jindagi se bhi zyada pyaar karte hai!

Mohabbat toh har koi karte hai....

Mohabbat toh har koi karte hai,
Phir kyu haatho ki lakiro mein uski naam nahi hoti hai,
Irade toh har ashiq ki neek hai,
Phir kyu zindagi bhar ki judai ki saza milti hai