Showing posts with label Hindi SMS Shayari. Show all posts
Showing posts with label Hindi SMS Shayari. Show all posts

Thursday, July 9, 2009

God sapne mein aaya

Kal raat God sapne mein aaya,
Main ne batayien ki aap mere dost hein.
God hase aur bole,
Ye tumare phechele jaan ke,
Bure karmo ka asar hain.

Kabhi zamin na chhodna

Samne ho manzil to rasta na modna,
Jo maan mein ho wo khwab na todna,
Har kadam pe milegi kamyabi tumhe,
Bas sitare chunne ke liye,
Kabhi zamin na chhodna.

Love is like Iodex

Love is like Iodex
ohh, aah, auch dour bhagaye,
Love is like Pepsi
Yeh dil mangay more,
Love is like Wah
Dil jeetnay ka meetha andaz,
Love is like Samsung
Everyone is Invited,
Love is like Habib Oil
kyun kay Dil ka mamla hay

tumhe miss kiya humne

Tumse dur rehkar tumhe miss kiya humne,
Tumhare liye “God” se wish kiya humne,
Tumhari yaad chupke se chali aayi toh,
Toh bade pyaar se SmS kiya humne.

Jab wo teri tarf dekhain

Aye Chand…
Jab wo teri tarf dekhain
Toh unhain kuch yaad delana
Phir chupkey se un k pass jana
Aur kehna….!
Tumhain koi yaad karta hai.
Teri umeed karta hai kohi
Ajj bhi tumhain dekh kar
Eid karta hai kohi.

Wednesday, July 8, 2009

Woh ruthte rahe

Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon mein palkein bichhate rahe,
Unho ne kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum aankh jhapkane se bhi ghabrate rahe.

itni si kahani hai

Meri aur uski itni si kahani hai
Tuti hui kashti, ruka hua pani hai
Ek gulab jo uski kitab mein dum tod chuka hai,
Aur usko yaad hi nahi ki ye kis ki nishani hai

Pani ka ek khatra

Pani ka ek khatra aankh se gira abhi abhi
Kya tumne mujhe yaad kiya abhi abhi
Tumse miley zamana howa,
Magar dil ko yo laga,
Koi mujse milkey gaya gaya abhi abhi.

Na koi pal subha hai

Na koi pal subha hai,
Na koi pal sham hai,
Har pal her lamha aapki dosti ke naam hai,
Isse sirf ek sms maat samajna,
Ye hamari pyari dosti ka salam hai.

Tuesday, July 7, 2009

Teri judai bhi ajeeb si lagti hai

Teri judai bhi ajeeb si lagti hai,
Tujh se baat kiye hue ek muddat si lagti hai,
Jab kabhi zindagi ke baare main sochti hu,
Aapki dosti zindagi ki zaroorat si lagti hai

Teri wafa pe shak nehi

Teri wafa pe shak nehi,
Teri wafaon ko manta hoon main.
Magar tujhko kiski aur ki aarzoo hai,
Yeh haquikat bhi jaanta hoon main.

mere ishq ka inaam to aaya

Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya
Khali hi sahi hathon mein jam to aaya
Mein hoon bewafa sabko betaya usne
Yun hi sahi, uske labhon pe mera naam to aaya.

jawaani chupa loo

Subha ki thandak main
Dil kare tujhe chupa loo
Zaleem ek baar haan bolke to dekh
Tere liye aapni jawaani chupa loo.

Monday, July 6, 2009

Night ko sona chod diya

Teray simple face ki beauty nai
Meray gentle heart ko maar diya
Teray love ko paa kar main nai
Night ko sona chod diya.

Aansu ko bahut samjhaya

Aansu ko bahut samjhaya tanhai mein aayaa karo,
Mehfil mein hamara majak na udaya karo,
Isspar aansu tadapkar bola,
Itne logo mein aapko tanha pate hain,
Issliye chale aate hain.

Apno ne zahar ka jaam de diya

Apno ne zahar ka jaam de diya
Gairon ne bewafaa ka naam de diya
Wo jo kehte ki bhul na jana hame
Aaj unhone hi bhari mehfil mein anjan keh diya.

pyaar bhara dil tuta hoga

Begano se dosti ki gunjais nahi hoti,
Mout ke badh koi khavaish nahi hoti.
Saayad koi pyaar bhara dil tuta hoga,
Warna November ke mahine mein barish nahi hoti.
I am sorry!!!

Allah ki yaad

Thodi si ebaadat bohat sa sila deti hai,
Gulab ki tarha chehra khila deti hai,
Allah ki yaad ko dil se jane na dena,
Kabhi kabhi choti si dua arsh hila deti hai.

Karte na unse mohabbat

Karte na unse mohabbat toh takhlif mehsus na hoti
Raat ki tanhaiyoon main bewafi na hoti
Karte hai hum aaj bhi unse pyaar na jaane kyun
Unki bewafaye aaj bhi pyara lagte hai.

Raate gumnaam hoti hai

Raate gumnaam hoti hai,
Din kisi ke naam hota hai,
Hum zindgi kuch is tarah gujarte hai,
Ki har lamha dosto ke naam hota hai