Tuesday, June 30, 2009

Kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage

Bebas hai insaan apni kismat ke aage,
Bebas hai sapne haqiqat ke aage,
Koi ruki huwi dhadkan se puche ,
Kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage.

Rishte na ho to dil jalta hai

Roshni ho to diya jalta hai,
Shama ho to parwana jalta hai..
Rishte na ho to dil jalta hai,
Aap jaise saathi ho to zamana jalta hai

Nazar ne nazar se mulaqat kar li

Nazar ne nazar se mulaqat kar li,
Rahe dono ekdam khamosh par phir bhi baat karli.
Kuch samay baad mohabbat ki fiza ko tab jana jab khud ko akela paya,
Aur tab mere en aankhon ne ro ro ke barsaat kar li.

Vaade bhi usne kya khoob nibhaye hain

Vaade bhi usne kya khoob nibhaye hain,
Zakhm muft aur dard toofey main bhej gaye hain.
Iss se bhad kar wafadari ki misaal kya hogi,
Maut se pahele woh kafan le aaye hain.

Mubarak ho aapko nayi subhah

Phoolon ne amrit ka jaam bheja hai,
Sooraj ne gagan se salam bheja hai,
Mubarak ho aapko nayi subhah,
Tahe-dil se humne ye paigam bheja hai
Good Morning

Har koi milta hai hame mehmaan ki tarah

Dar dar bhatakte hain armaan ki tarah,
Har koi milta hai hame mehmaan ki tarah.
Khushi ki ummeed kya rakhen iss duniya se,
Yeh to gham bhi deti hai toh ek ehsaan ki tarah

Waqt noor ko benoor kar deta hai

Waqt noor ko benoor kar deta hai
Thode se zakham ko nasur kar deta hai
Kaun chahta hai apno se door rahna par
Waqt sabko majboor kar deta hai

sona nahi chahate

Apko paakar ab khona nahi chahate.
Itna khush ho ker ab rona nahi chahate.
Yeh aalam hai hamara aapki judai ka.
Aankho mein ned hai magar sona nahi chahate

Mubarak ho aapko nayi subhah

Phoolon ne amrit ka jaam bheja hai,
Sooraj ne gagan se salam bheja hai,
Mubarak ho aapko nayi subhah,
Tahe-dil se humne ye paigam bheja hai

Har koi milta hai hame mehmaan ki tarah

Dar dar bhatakte hain armaan ki tarah,
Har koi milta hai hame mehmaan ki tarah.
Khushi ki ummeed kya rakhen iss duniya se,
Yeh to gham bhi deti hai toh ek ehsaan ki tarah.

Waqt noor ko benoor kar deta hai

Waqt noor ko benoor kar deta hai
Thode se zakham ko nasur kar deta hai
Kaun chahta hai apno se door rahna par
Waqt sabko majboor kar deta hai.

Hamare iss sawal ka jawab kya doge

Kaanto ke badle phool kya doge
Aansoon ke badle khushi kya doge
Hum chahate aap se umar bhar ka saath
Hamare iss sawal ka jawab kya doge

khona nahi chahate

Apko paakar ab khona nahi chahate.
Itna khush ho ker ab rona nahi chahate.
Yeh aalam hai hamara aapki judai ka.
Aankho mein ned hai magar sona nahi chahate

Jaan to nahi magenge aapse

Yaadon ka ye silsila banaya rakhna,
Dost kaha hai to dosti banaye rakhna,
Jaan to nahi magenge aapse,
Gujarish hai jaan pehechan banaye rakhna.

zinda na ho jau tere sahara dekhkar

Laut jati hai duniya gam hamara dekhkar,
Jaise laut jaati hai lehere kinara dekhkar.
Tum kandha na dena mere janaze ko,
Kahi fir se zinda na ho jau tere sahara dekhkar

Manzil har khushi ki uss ke kareeb kar de

Chal kar jahan bhi jaye pholoon ke rastey hon,
Manzil har khushi ki uss ke kareeb kar de,
Dil mera ab tak kahan mutmain hua hai,
Uss ke dukh ko ya rab mera naseeb kar day..!!

zindagi ki raah mein

Kaash is dil ki awaz mein itna asar ho jaye,
Hum aapko yaad karein, aur aapko khabar ho jaye,
Khuda se maangte hai ki aap jise bhi chaho,
Woh zindagi ki raah mein apka humsafar ho jaye.

aap jaise dost ko paane ke liye

Dost ek saahil hai tufaano ke liye,
Dost ek aaina hai armaano ke liye,
Dost ek mehfil hai anjaano ke liye,
Dosti ek khawaahish hai aap jaise dost ko paane ke liye !!

teri mehfil hai

Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai,
Jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai.

sirf ek kahani hu main

Agar rakh sako toh ek nishani hu main,
Aur kho do toh sirf ek kahani hu main,
Rok paye na jisko ye saari duniya,
Woh ek boondh aankh ka paani hu main.

ek aansu bhi rusva kar jata hai

Bachpan ke dukh bhi kitne achhe thay
Tab toh sirf khilone tuta karte the..
Wo khushiyan bhi na jane kaise khushiyan thi,
Titli ko pakad k uchhla karte the..
Paon maar k khud barish ke pani mai,
Apne aap ko bhigoya karte the..
Ab toh ek aansu bhi rusva kar jata hai,
Bachpan main to dil khol ke roya karte the..!

Jo bhi jata hai mata ke dwar

Maa ki jyoti se noor milta hai.
Sabke dilon ko surur milta hai.
Jo bhi jata hai mata ke dwar,
Usse kuch na kuch jarur milta hai

Bhoolna tum ko hamarey liye namumkin hai

Chahoo jo meri khataoon ki saza do mujh ko
Per khata kya hai zara itna bata do mujh ko

Mainey chaha tha tumhein aisey tu aakhir kyun kar
In wafaoon ke siley aisi wafa do mujh ko

Bhoolna tum ko hamarey liye namumkin hai
Jo ho sakey toh sanam tum hi bhula do mujh ko

Ab agar soch hi lia hai jo qata ka “saair”
Mein mar hi jaaon koi aisi saza do mujh ko

bahut kharcha ho gaya...

Shah jahan ne
Tajmahal ki har deewar ko dekha
Har meenar ko dekha
Har kaleen ko dekha
Har khidki se dekha
Aur bola….

Maa kasam bahut kharcha ho gaya

what is an "sms"?

Ek rishta hai dil ki bat batane ka,
Ek zariya hai apni yad dilane ka,
Ek saathi hai gam ko bhulane ka,
Ek tarika hai aapke lamhe churane ka.

bewafa sanam....

Kaliyon ke khusboo mein tumhare saanso ko dhoond rahein hai,
Barsat ke boondo ko sagar mein dhoond rahein hai,
Kuch is tarah bewafa sanam mein pyaar dhoond rahei hai.

yaar ko khuda bana diya

Aashiq ne pucha khuda se,
Tune duniya ko pyaar ka dushman kyu bana diya?
Khuda bola aashiqo ne kaunsa mere saath accha kiya,
Unhone ne bhi toh yaar ko khuda bana diya…

Monday, June 29, 2009

shq karne ki bhi kuch adaab hotay hein

shq karne ki bhi kuch adaab hotay hein,
Jagti ankhoon mein bhi kuch khwab hotay hein,
Har koi roo de ye zarori toh nahi,
Khush ke ankhoon mein bhi saylab hotay hein.

Sms har pal karu

Sms har pal karu to shararat hogi,
Har din karu to paresani hogi,
Kabhi kabaar karu to kanjusi hogi,
Par dil se karu toh aapko khushi hogi.

tum...

Sabkuch paya hai tumne,
Kya khona chahate ho tum,
Hame bhulana ya khud ko bhool jana chahte ho tum,
Haqiquat mein na shai kamse kam khwab mein toh aao tum,
Sun sako to suno iss bejuba dil ki dharkan,
Yeh kahegi yahi sirf tumse,
Hamne na bhulaya tumhe kyun hame bhool gayi tum,
En aankho mein aansu diya hai tumne,
Khud ke daaman ko bhigne kyun bachati ho tum,
Kabke ke aaj to aayi ho,
Aaj toh jaane ki jidd na karo tum.

Kabhi alvida na kehna

Jo mushkil se mile woh hai?….”Paisa”
Jo kisi-kisi ko mile woh hai?….”Pyaar”
Jo sabhi ko mile woh hai?….”Gam”
Jo kismat se mile woh hai?….”Hum”

Isse liye Kabhi alvida na kehna

yaar ko khuda bana diya

Aashiq ne pucha khuda se,
Tune duniya ko pyaar ka dushman kyu bana diya?
Khuda bola aashiqo ne kaunsa mere saath accha kiya,
Unhone ne bhi toh yaar ko khuda bana diya…

Jhukta wahi hai jisme jaan hoti hai...

Life mein kbhi compromise karna pade to don’t hesitate. Bcoz…
Jhukta wahi hai jisme jaan hoti hai. Akad hi toh murde ki pehchan hoti hai..

Kabhi aansu kabhi khushi

Kabhi aansu kabhi khushi bechi,
Hum gariboon ne bebasi bechi,
Chand sanse hain kharidne ke liye,
Roz marti hui zindgi bechi.
Satane lage mujhe jab mere hi saye
Pareshan hoke maine roshni bechi
Ek hum they jo khud hi bik gaye,
Varna logon ne dosti bechi.

Tadapna dil ko padta hai

Kagaz bhi mere paas hai
Kalam bhi mere paas hai
Likhai bhi to kya likhe
Dil jo tumhare paas hai
Garmi is suraj se hoti hai
Tadapna zamin ko padta hai
Mohabbat aankho se hoti hai
Tadapna dil ko padta hai

Hum unse mahobbat karte hai...

Koi chand se mahobbat karta hai
Koi suraj se mahobbat karta hai,
Hum unse mahobbat karte hai
Jo hum se mahobbat karte hai.

Jee lo ye pal

Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega,
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega,
Jee lo ye pal jab hum saath hai,
Kal ka kya pata, waqt kahan le jayega.

Pyaar pooja hai

Pyaar pooja hai to ibadat bhi,
Tyaag hai to samarpan bhi,
Asaani se jo mil jaye woh pyaar nahi,
Badle mein jo dard de jaye wahi to sachhi inayat hai!

kisi ko kya malum

Abhi hamari mohabbat kisi ko kya malum,
kisi ki dil ki haquikat kisi ko kya malum,
khuda ke waste yun na benaqab phiro,
kisi ki kaisi hai niyat kisi ko kya malum.

thodi si jaga hame di hai

Jine ki nayi ada di hai,
Khush rahne ki usne dua di hai,
Aye khuda jahan ki sari khushiyan use dena,
Jisne apne dil me thodi si jaga hame di hai

sath guzara waqt yaad ayega

Jab koi dosti ki dastan sunayega
Humko bhi koi sakhs yaad aayega,
Tab bhool jayenge zindagi ke gumoko
Jabuj aapke sath guzara waqt yaad ayega.

Kyun tor diya dil hamara

Kyun tor diya dil hamara?
Kyun itne sapne dikhaae?
Kyun piyar se paas bulaya?
Kyun dil mein hamein basaya?
Kyun hamare dil mein bas gaye tum?
Agar torna hi tha dil hamara toh,
Kyun iss anjanee ko pyaar ka matlab sikhaya?

Tanha tanha se rahate hai...

Tanha tanha se rahate hai.
Dard hota hai to chup hoke sahate hai.
Gam k0 yaha dikhaye kise,
Dhokha to apane hi dete hai.

Waqt....

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Gamon Se Bhara ,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Kya Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Kya Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi…

sharabi kar gaya

Sara pani chhu kar honton se
gulabi kar gaya,
woh nadi ki machliyon tak ko
sharabi kar gaya.

Lehar ati hai

Lehar ati hai kinare se palat jati hai,
Yad aati hai dil mein simat jati hai,
Faraq itna hai ki lehar bewaqt aati hai,
Aur aap ki yaad har waqt aati hai.

aapke msg ka intezaar

Tumhari yaadon ki mehek in hawaon mein hai,
pyar hi pyar hi bikhra in fizao mein hai,
aisa na ho ki duriya dard ban jaye,
ab to aapke msg ka intezaar niaghon mein hai.

bina mange mil jata hai

Zindgi ek chahat ka silsila hai,
Koi kisi se mil jata hai toh koi kisi se bichad jata hai,
Jise hum mangte hai apni dua main,
Woh kisi ko bina mange mil jata hai.

hum se khafa lagti hai

Ab toh kuch apni tabiyat hi juda lagti hai,
Saans leta hu toh jakhamo ko hava lagti hai,
kabhi hum se raji toh kabhi hum se khafa lagti hai,
Aye meri jindagi tuhi bata tu meri kya lagti hai.

har shaks wafadar nahi hota

Yun toh har patthar chamakdar nahi hota,
Yun toh har shaks wafadar nahi hota,
Phool khilten hai gulshan mein hazaron,
Yun toh har phool khusbudar nahi hota,
Milne ko mil jate hai, duniya me log hazaron,
Par har kisi se toh pyaar nahi hota.