Wednesday, June 17, 2009

Milo na milo milne ka koi gham nahi...

Milo na milo milne ka koi gham nahi,
Tum paas se guzar jao yeh milne se kam nahi,
Maana ke tumhe hamari qadar nahi,
Lekin unhe poocho jinhe hum haasil nahi.

Dard ki syahi se likha yeh mera naseeb tha

Dard ki syahi se likha yeh mera naseeb tha,
Bik gayi meri mohabbat kyu ke main gareeb tha,
Pal bhar ko toh hum bhi na shambhal paye thay,
Guzra hi hum par woh hadsa ajeeb tha

Hathon mein hai jaam, lab par tera naam

Hathon mein hai jaam, lab par tera naam
Kuch man mein hai armaan, aur dalthi hue shaam.

Kaise rokoo khud ko aaj, khud se hai yeh sawaal
Kyu chala iss manzil ki ore, jab raste se na ta anjaan.

Nikle thay kaha jane ke liye.....

Nikle thay kaha jane ke liye, pahunche hai kaha malum nahi
Ab apne bhatakte kadamon ko ,manzil ka nishan malum nahi!

Barbaad wafa ka afsana, hum kiss se kahe aur kaise kahe
Khamosh hai lab aur duniya ko, ashqon ki zuban malum nahi

romantic love sms messages,love messages,love msgs

Aisa nahi ki aapki yaad aati nahi,
Khata itni hai ki hum batate nahi,
Pyaar aapke anmol hai hamara liye,
Samajhte ho aap isliye jatate nahi.

Hathon mein hai jaam, lab par tera naam

Hathon mein hai jaam, lab par tera naam
Kuch man mein hai armaan, aur dalthi hue shaam.

Kaise rokoo khud ko aaj, khud se hai yeh sawaal
Kyu chala iss manzil ki ore, jab raste se na ta anjaan.

Tuesday, June 16, 2009

Kar betha hai tujhse......

Kar betha hai tujhse itna pyaar yeh mera dil,
Ke ab toh iss mein saanson ki parwah bhi nahi,
Ab iss nadan ko yeh kaun samjhaye ke,
Yeh saansen bhi uss hi se hai jisse woh pyaar karta hai.

Mana ki abhi khali haath hai

Mana ki abhi khali haath hai,
Per dil toh pyaar se aabad hai,
Jaib khali hai toh kya gam hai,
Tumse milkar dil mala mal hai

Dil ka haal batana nahi aata

Dil ka haal batana nahi aata,
Kisi ko aisy tarpana nahi aata,
Sunna chahte hai ek baar aawaz aapki,
Magar baat karne ka bahana nahi aata!

DUNIA me reh ke sapno me kho jao

DUNIA me reh ke sapno me kho jao,
KISIKO apna banalo YA kisi ke ho jao,
AGAR kuch bhi nahi hota to DON'T WORRY yaar,
chaddar-takiya lo aur so jao

Friends are like mango

Friends are like mango…
You’ll never know which is sweet and which is not.
Well I’m lucky coz I was able to find the sweetest mango in U

friendship sms

Time & distance are important between friends.
When a friend is in ur heart, they remain there forever.
I may be busy, but I assure u, u are always in my heart!

Dosti k phool har mousam main khilte hain

Dosti k phool har mousam main khilte hain,
Dosti k badal har mousam main baraste hain,
Hum sms bhejain ya na bhejain,
Par yaad hum aap ko har roz karte hain

Chirago se andhere door ho jate...

Chirago se andhere door ho jate,
toh chand ki chahat hamme na hoti,
agar kat sakti akeli ye jindagi,
to apki jaroorat hamme na hoti.

Mana Keh Ye....

Mana Keh Ye Ghum Hay Koi Sougaat Nahi,
Tum Hamain Apna Kaho Aisay Bhi Halaat Nahi

Jaan hai mujhko zindagi se pyaari

Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari

Humko mohabbat hai zindgi se

Humko mohabbat hai zindgi se.
Door ye ho to ghum hota hai,
Pass ho to iska karam hota hai.
Khud apni marzi se chalti hai,
Suraj ki tarah se ye dhalti hai.
Isey jab bhi hum dekhte hain,
Mann hi mann ye sochte hain,
Kitni hifazat hai zindgi se.
Humko mohabbat hai zindgi se

Kabhi khushiyon ka mela lagta hai

Kabhi khushiyon ka mela lagta hai,
Kabhi har koi akela lagta hai.
Kabhi humpe karam pharmati hai,
Kabhi humse nazar churati hai.
Palkon se isko chakhte hain,
Isey pass hi apne rakhte hain,
Itni nazakat hai zindgi se

Apno se juda kar deti hai

Apno se juda kar deti hai,
Aakhon mein paani bhar deti hai,
Kitni shikayat hai zindgi se.
Phir bhi iska aitbaar hai,
Phir bhi iska intzaar hai,
Humko mohabbat hai zindgi se

Monday, June 15, 2009

Bade ajeeb hain ye zindagi ke raaste

Bade ajeeb hain ye zindagi ke raaste,
Anjane mod par kuchh log dost ban jate hain,
Milne ki khushi de ya na de
Bichhadne ka gam zarur de jate hain

Muskurana hi Khushi nahi hoti

Muskurana hi Khushi nahi hoti,
Umar bitana hi Zindagi nahi hoti,
Khud se bhi zyada khayal rakhna padta hai dosto ka,
Kyoki Dost kehna hi Dosti nahi hoti.

MeriTanhai Ka Abb Yeh Aalam Hai

MeriTanhai Ka Abb Yeh Aalam Hai
Apni Dastaan Khud Hi Gungunaney Laga Hoon
Koi Ataa Bhi Nahin Abb Mere Ghar Mein
Phir Main Kyun Issey Sajaney Laga Hoon

Labon pe Aaaj unka Naam aa Gaya

Labon pe Aaaj unka Naam aa Gaya,
Pyase ke Pass Jaise Jaam aa Gaya,
Dole Kadam to Gire unki Bahon mein ja kar,
Aaj Hamar Pina hi Hamare Kaam Aa Gaya…

friendship sms hindi, friendship sms in hindi

Jise dil ka kalam or mohabbat ki ink kahate hai,
Jise lamho ki kitab or yaado ka covar kehate hai,
Yahi wo subject hai jise log friendship kahte hai

Raat ki khamoshi raas nahi aati

Raat ki khamoshi raas nahi aati
Meri parchayi bhi ab mere paas nahi aati
Kuch aati hai toh bas teri yaad
jo aakar ek pal bhi mujhse door nahi jaati.

Khushbu ki tarah aapke paas bikhar jaunga

Khushbu ki tarah aapke paas bikhar jaunga,
Sukun bankar dil mein utar jaunga,
Mehsus karneki koshish kijiye,
dur hokar bhi paas nazar aounga

Ye aaine se akele main guftagu kya hai

Ye aaine se akele main guftagu kya hai
jo main nahin to phir ye tere rubaru kya hai
isi umeed pe kaati hai zindagi main ne
woh kaash puchte mujh se ke aarzoo kya hai

Ishq Ne Insan Ko...

Ishq Ne Insan Ko Kya Se Kya Bana Diya ,
Kisiko Kavi To Kisiko Kangal Bana Diya,
Do Fulo Ka Boj Na Uthane Vaali Mumtaj
Ki Yaad Main Shahjaha Ne Taaj Mahel Bana Diya

Na to yaado ko yaad rakhte hai....

Na to yaado ko yaad rakhte hai
Na hi sapno ko saath rakhte hai
Hum to buss unko yaad rakte hai
Jo hamein dil ke pass rakhte hai.

Haste rahen aap hazaron ke beech mein

Haste rahen aap hazaron ke beech mein,
Jaise haste hein phool baharon ke beech mein,
Roshan ho aap duniya mein iss tarah,
Jaise hota hai chand sitaron ke beech mein.

hindi sms shayari,hindi sms world,hindi text

HAR AHAT EHSAS HAMARA DILAYEGE,
HAR HAWA KISSA HAMARA SUNAYEGI,
HUM ITNI YADEEN BHAR DENGE,
NA CHATE HUA BHI APKO YAAD HAMARE AYEGI.

hindi sms shayari,hindi sms world,hindi text

Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !

hindi sms shayari,hindi sms world,hindi text

Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !

hindi love messages,hindi sms messages,hindi text

Kal raat hamare aangan me Chaand utra,
Par sitaro ko gawara na tha,
Hum to Sitaro se bhi Bagawat kar lete,
Par kya karte wo Chaand hi hamara na tha…

hindi sms shayari,hindi sms world,hindi text

Sari umar Aankhon me ik sapna yaad raha,
Sadiyaan beet gayi jisme woh lamha yaad raha,
Na jane kya baat thi Unme,
Sari Mehfil bhool gaye bus wo hi ek Chehra yaad raha

hindi sms shayari,hindi sms world,hindi text

Ae mere hamnashee chal kahi aur chal,
Is chaman me ab apna guzara nahi,
Baat hoti Phoolon tak to seh lete hum,
Ab to Kaanton pe bhi haq hamara nahi

Zindagi bahut kuch sikhati hai

Zindagi bahut kuch sikhati hai,
Kabhi hasati hai to kabhi rulati hai,
Kudh se Zyada kisipe bharosa mat karna
Andhere me to Parchai bhi saath chor jati hai

Kaanch ko Chahat thi....

Kaanch ko Chahat thi Paththar pane ki,
Ek pal me fir tootkar bikhar jane ki,
Chahat bus itni thi us Deewane ki,
Apne tukro me Tasveer uski sajane ki.

Main Wohe Hoon JIsay Tum Pyaar Kia Kertey They

Main Wohe Hoon JIsay Tum Pyaar Kia Kertey They
Din Main Soo Baar Mera Naam Liya Kertey They

Aaj Kya Baat Hay Kyun Mujh Say Khafa Bethey Ho
Kya Kisi Or Ko Dil Apna Bana Bethey Ho ?

Fasley Pehlay To Itney Na Hua Kertey They.
Main Woh Hoon Jisay Tum Pyaar Kia kertey They

Nazar andaz kaise kare aapko

Nazar andaz kaise kare aapko,
nazron me bithaya hai jo aapko,
yaad aane par roye bhi to kaise,
darte hai jhuki jo palke to chubhengi aapko

Kya Fayada Kisi ko chahane ka

Kya Fayada Kisi ko chahane ka ?
Kya Fayada Kisi ki yadon me aansu bhane ka ?
jo samjhe na kisi ke dil mein basa pyaar..
kya fayad uske pyaar meindil ko tadpane ka..

Is kadar hum yaar ko manane nikale

Is kadar hum yaar ko manane nikale,
uski chahat k hum diwane nikale,
Jab bhi use dil ka haal batana chaha,
to uske hoton se waqt na hone k bahane nikale.

Sunday, June 14, 2009

Dosti insan ki zaroorat hai

Dosti insan ki zaroorat hai,
dilon pe dosti ki huqumat hai,
aap ke pyar ki wajah se zinda hain,
warna khuda ko bhi hamari zaroorat hai.

hindi sms shayari,hindi sms world,hindi text

Ek khwab, ek khayal, ek hakikat ho tum,
Dosti me padnewali har jarurat ho tum,
Jisko roz ek sms karna pade,
Kya yar ajib musibat ho tum

Sunahari dhup barsat ke baad

Sunahari dhup barsat ke baad,
Thodi si hansi her baat ke baad,
Usi tarah ho aap ko mubarak,
Nayi subah her raat ke baad,

hindi sms shayari,hindi sms world,hindi text

har din ek Naya Zakhm milta hai
kaisi Saughat ye Taqdeer ne likh dali hai ?
Jazb kar leta hun inhe Dil ki Gehrayion mein
Jab tera Pyar Barasta hai meri hasti par

hindi sms shayari,hindi sms world,hindi text

Mayoos mat hona yeh ek Gunnah hota hai
Milta wahi hai jo Qhismat main likha hota hai

Har Cheez miley humain yeh Zaroori tou nahi
Kuch Cheezon ka Zikar doosre Jahan main hota hai

hindi sms shayari,hindi sms world,hindi text

MERE SAMNE MEHFIL ME AAYE BHADHE HAI,
APNE HATHO ME MERA DIL DABAYE BHAIDHE HAI,
JAB HUMNE PUCHA KI KIYA HAI IN HATHO ME,
BAHANA BANA DIYA KI MEHNDHI LAGAYE BAIDHE HAI.

Kitna bebas hai insaan

Kitna bebas hai insaan apni kismat ke aage,
Kitna benoor hai sapna haqueequat ke aage,
Koi ruki hui dhadkan se pooche ,
Kitna tadapta hai dil mohhabbat ke aage.

Kaash kaanch banane wale ne....

Kaash kaanch banane wale ne dil kaanch ka banaya hota,
Kaash kaanch banane wale ne dil kaanch ka banaya hota,
Todne wale ke haath par zakhm to aaya hota.